ishq ishq ho shayad husn mein fana ho kar intiha hui gham ki dil ki ibtida ho kar dil hamein hua hasil dard mein fana ho kar ishq ka hua aaghaz gham ki intiha ho kar na-murad rahne tak na-murad jite hain sans ban gaya ek ek nala na-rasa ho kar ab hui zamane mein shewa-e-wafa ki qadr aalam-ashna hai wo dushman-e-wafa ho kar aur bande hain jin ko dawa-e-khudai hai thi hamari qismat mein bandagi khuda ho kar umr-e-khizr ke andaz har nafas mein pata hun zindagi nai pai aap se juda ho kar badhta hai na ghatta hai marte hain na jite hain dard par khuda ki mar dil mein rah gaya ho kar kar-gah-e-hasrat ka hashr kya hua ya rab dagh-e-dil pe kya guzri naqsh-e-muddaa ho kar ishq se hue aagah sabr ki bhi had dekhi khak mein mila doge der-ashna ho kar ki qaza-e-mubram ne zindagi ki gham-khwari dard ki dawa pahunchi dard be-dawa ho kar zindagi se ho be-zar 'fani' is se kya hasil maut ko mana loge jaan se khafa ho kar