dil mein rakhta hai na palkon pe bithata hai mujhe phir bhi ek shakhs mein kya kya nazar aata hai mujhe raat ka waqt hai suraj hai mera rah-numa der se dur se ye kaun bulata hai mujhe meri in aankhon ko khwabon se pashemani hai nind ke nam se jo haul sa aata hai mujhe tera munkir nahin ai waqt magar dekhna hai bichhde logon se kahan kaise milata hai mujhe qissa-e-dard mein ye baat kahan se aai main bahut hansta hun jab koi sunata hai mujhe