ishq ka markaz hai jo us laDke ko lae koi

ishq ka markaz hai jo us ladke ko lae koi
kab talak pagal phiregi ladki batlae koi

us ke wade us ki yaaden sab hain is dil mein rakhe
ab hai dhadka is tijori ko na le jae koi

us se hi hain sare mausam us ka muskana bahaar
khul ke wo hans de kabhi aur megh barsae koi

phir teri aawaz ke dhoke mein khidki tak gae
jhank kar dekha parinda ragni gae koi

aankhen satrangi hain us ki gul-mohar se lab bane
muskurahat wo nasha jogan bahak jae koi

sah nahin pae azab-e-hijr ye hai aur baat
is gunah-e-ishq par lekin na pachhtae koi

ye adab ka hai maqam ab rahne de ye mashware
aql lazim hai khamoshi dil ko jab bhae koi

zindagi dil ki to hai muhtaj bas is ek ki
warna yun to chahe jitne ishq farmae koi

mar chuki hain tahniyan jo sukh kar lao idhar
mere hathon mein hai mitti pani barsae koi

din dhalega raat hogi hum guzarte jaenge
aae the kyon jaenge kyon hum ko samjhae koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close