kanpte honton se jab bhi wo dua karta hai lafz-e-amin har ek zarra kaha karta hai har sitare mein charaghan ka saman hai jaise kaun khwabon ke jaziron mein raha karta hai kitne afsane suna deti hai wo ek nazar dil to masum hai chup-chap suna karta hai tum ye batlao shab-o-roz guzare kaise hijr mein chand to aawara phira karta hai hum ko malum hai guzre hue mausam ka pata teri yaadon ke khayaban mein raha karta hai sham aati hai jalati hui taron ke charagh aur usi waqt diya dil ka bujha karta hai dil ki diwar mein dukh ka koi rauzan hi nahin pattharon ki tarah insan jiya karta hai dil ke jazbaat dabae nahin dabte 'zahra' chadhta dariya kahin roke se ruka karta hai