jab kabhi mere qadam su-e-chaman aae hain apna dukh dard liye sarw o saman aae hain panw se lag ke khadi hai ye gharib-ul-watani us ko samjhao ki hum apne watan aae hain jhad lo gard-e-musarrat ko bitha lo dil mein bhule-bhatke hue kuchh ranj o mehan aae hain jab lahu roe hain barson to khuli zulf-e-khayal yun na is nag ko lahrane ke fan aae hain kuchh ajab rang hai is aan tabiat ka 'naim' kuchh ajab tarz ke is waqt sukhan aae hain