ishq ke shahr ki kuchh aab-o-hawa aur hi hai us ke sahra ko jo dekha to faza aur hi hai tujh se kuchh kaam nahin dur ho aage se nasim wa kare ghuncha-e-dil ko wo saba aur hi hai nabz par meri abas hath tu rakhta hai tabib ye maraz aur hai aur is ki dawa aur hi hai gul to gulshan mein hazaron nazar aae lekin us ke chehre ko jo dekha to safa aur hi hai zahido wird-wazaif se nahin hasil-e-kar jis ko ho husn-e-ijabat wo dua aur hi hai ai jaras harza-dira ho na tu itna chup rah pahunche pas-manda ba-manzil wo sada aur hi hai mohtasib hum se abas kina rakhe hai 'hatim' jo nasha hum ne piya hai wo nasha aur hi hai