khayal-e-jubba-o-dastar bhi nahin baqi wo kashmakash hai ki ek tar bhi nahin baqi chaman ko raund gae qafile bahaaron ke gulon ka zikr hi kya khar bhi nahin baqi lagi hui hain zamir-e-hayat par mohren kisi mein jurat-e-izhaar bhi nahin baqi kabhi kabhi jo rag-e-jaan se phut padta hai wo naghma-e-rasn-o-dar bhi nahin baqi hamein to kufr ka tana diya tha waiz ne haram mein ab koi din-dar bhi nahin baqi luta jo apna gulistan to hum ne ye samjha koi bahisht ufuq par bhi nahin baqi guzar gae wo sukhan-fahmiyon ke hangame koi kisi ka taraf-dar bhi nahin baqi