ishq ki khubi kahun kya aashna jaan ka dushman hai dil ka aashna bahr-e-ulfat se kinara khub hai kha gaya ghota to duba aashna roz-e-bad se dar ki ho jate hain phir dost dushman aashna na-ashna dahr mein kamyab kya nayab hain kimiya darwesh sachcha aashna shaghlan-e-ishq ka ye dard hai ya muhib ya mehrban ya aashna pak ulfat ho to phir kya ai raqib aashna hai aashna ka aashna do samajhna saf hai be-wahdati ek hi begana ho ya aashna hum to dil se nek samjhe hain tumhein tum bura kahte ho achchha aashna dil jale kya kya nahin kahte tumhein be-murawwat bewafa na-ashna aao ji dil khol kar mil lijiye zindagi ka kya bharosa aashna qulzum-e-ishq ek tufan-khez hai dube is dariya mein sadha-ashna kahiye to kah dun hazaron mein ye baat hai 'nasim' ek gul-badan ka aashna