main manzar hun pas-e-manzar se mera rishta bahut aakhir meri peshani par suraj chamka bahut jaane kaun se ism-e-ana ke hum zindani the tere nam ko le kar hum ne khuda ko chaha bahut un se kya rishta tha wo kya mere lagte the girne lage jab ped se patte to main roya bahut kaisi masafat samne thi aur safar tha kaisa lahu main ne us ko us ne mujh ko mud ke dekha bahut kis ke dast-e-sawal mein hai ek lambi chup ka charagh jhankta hai kyun ek khidki se koi chehra bahut hai dariya ke lams pe nazan ek kaghaz ki naw suraj se baaten karta hai ek daricha bahut sari umr kisi ki khatir suli pe latka raha shayad 'tur' mere andar ek shakhs tha zinda bahut