qadam uthe to ajab dil-gudaz manzar tha main aap-apne liye raste ka patthar tha dil ek aur hazar aazmaishen gham ki diya jala to tha lekin hawa ki zad par tha har aaina meri aankhon se puchh leta hai wo aks kya hue aabaad jin se ye ghar tha har ek azab ko main sah gaya magar na mila wo ek gham jo mere hausle se badh kar tha ye wahm tha ki mujhe wo bhula chuka hoga magar mila to wo meri hi tarah muztar tha hazar bar khud apne makan pe dastak di ek ehtimal mein jaise ki main hi andar tha tamam umr ki tanhaiyan sameti hain yahi mere dar-o-diwar ka muqaddar tha udas raston mein paiham sulagti subhon mein jo gham-gusar tha koi to dida-e-tar tha