jab ye dawe the ki har dukh ka mudawa ho gae kis liye tum bais-e-khun-e-tamanna ho gae shauq ka anjam nikla hasrat-e-aghaz-e-shauq raaz ban jaane se pahle raaz ifsha ho gae ek nigah-e-ashna ka aasra jata raha aaj hum tanhaiyon mein aur tanha ho gae tera milna aur bichhadna kya kahen kis se kahen ek jaan-e-na-tawan par zulm kya kya ho gae