main to tanha tha magar tujh ko bhi tanha dekha apni taswir ke pichhe tera chehra dekha jis ki khushbu se mahak jae shabistan-e-visal dosto tum ne kabhi wo gul-e-sahra dekha ajnabi ban ke mile dil mein utarta jae shahr mein koi bhi tujh sa na shanasa dekha ab to bas ek hi khwahish hai ki tujh ko dekhen sari duniya mein phire aur na kya kya dekha koi surat bhi shanasa nazar aai na hamein ghar se nikle to ajab shahr ka naqsha dekha is qadar dhup thi sanwla gae rakhshan chehre jalte suraj ka magar rang bhi pila dekha ped ka dukh to koi puchhne wala hi na tha apni hi aag mein jalta hua saya dekha the andheron ke taaqub mein ujale kya kya khud tamasha the 'jamil' aur tamasha dekha