ishq ko aankh mein jalte dekha phul ko aag mein khilte dekha ishq ke raaz na puchho sahab ishq ko dar pe chadhte dekha ishq ke dam bhi lag jate hain misr mein us ko bikte dekha ishq hai wajib us ko hum ne jism aur jaan mein utarte dekha us ko hawas ka nam na dena lauh pe us ko likhte dekha arsh bhi hairat se takta tha dasht mein us ko palte dekha ishq anokha manzar jis mein raaz ko khwab mein dhalte dekha hijr ka zakhm to zakhm hai aisa bakhiya-garon se bhi khulte dekha ishq wo bagh hai jis ko hum ne hijr ki rut mein mahakte dekha gham kya hijr aur visal ka us ko ishq mein jis ko bhatakte dekha