ye apna shahr jo hai dasht-e-be-aman hi to hai is e'tibar se dil dard ka makan hi to hai nahin hai pursish-e-ahwal ke liye koi bas ek majma-e-arwah-e-raftagan hi to hai ye dastan-e-tamanna ajab sahi phir bhi bhula hi dega zamana ki dastan hi to hai ye aur baat abhi inqalab aa jae hayat warna abhi tak wabaal-e-jaan hi to hai sukun ka ek bhi lamha ho kyun muqaddar mein ye ahd-e-zist bhi daur-e-sitam-garan hi to hai rula diya hai ghata ke suluk ne 'bedi' magar ye tishna-labi ek imtihan hi to hai