ishq ko kaamyab hona tha aap ko be-naqab hona tha kya shikayat tere taghaful ki khatm mera shabab hona tha aap ne hosh kho diye mere aaj hi be-naqab hona tha kyun na dil chhin kar wo le jate zindagi ko kharab hona tha un hasinon ke zulm sahne ko mera hi intikhab hona tha kyun zulekha ka khwab ban na gaya gar mujhe kaamyab hona tha chir kar dil ko dil se nikli thi aah ko kaamyab hona tha mil ke 'shankar' se aaj us ne kaha tujh ko mast-e-sharab hona tha