ye khayal ab to dil-azar hamare liye hai aakhir-e-shab koi be-dar hamare liye hai hum ajab dekh ke sarshaar hue jate hain jaise ye garmi-e-bazar hamare liye hai khana-e-zist mein rahta hai ujala shab bhar koi raushan sar-e-diwar hamare liye hai khatm hone ko nahin sakhti-e-alam-e-safar rah mein phir koi kohsar hamare liye hai dhundte rahte hain ashjar mah-o-sal mein hum kya koi shakh-e-samar-dar hamare liye hai ab khula us badan-e-gul pe hai mausam ka asar hum samajhte the wo bimar hamare liye hai koi to abr ki manind masafat mein 'salim' dhup se bar-sar-e-paikar hamare liye hai