ishq ko khun-e-jigar ki hai talab kahte hain zakhm khane ko wafaon ka adab kahte hain husn ki dhup mein nikhra hua phulon sa badan dil ke lut jaane ka is ko hi sabab kahte hain khak malta hai falak aa ke mere qadmon ki khaksari ko bulandi ka laqab kahte hain wo bhi lahra ke har ek dard suna karti hai qaid ka waqia zanjir se jab kahte hain tum ye mano ki na mano hai tumhaari marzi ishq ko dan sahi jine ko dhab kahte hain dil mein tufan jo chhupae ho chhupae rakkho sara afsana larazte hue lab kahte hain tum diwane ho ye sach hai ise taslim karo hum nahin kahte faqat shahr mein sab kahte hain in ko dekhun to inhen meri nazar lag jae aisa hota hai kahin aap ghazab kahte hain dil jo rota hai use gate hue nikle 'nadim' log is dard-e-mohabbat ko adab kahte hain