jab bhi teri yaadon ki chalne lagi purwai har zakhm hua taza har chot ubhar aai is baat pe hairan hain sahil ke tamashai ek tuti hui kashti har mauj se takrai maikhane tak aa pahunchi insaf ki ruswai saqi se hui laghzish rindon ne saza pai hangama hua barpa ek jam agar tuta dil tut gae lakhon aawaz nahin aai ek raat basar kar len aaram se diwane aisa bhi koi wada ai jaan-e-shakebai kis darja sitam-gar hai ye gardish-e-dauran bhi khud aaj tamasha hain kal the jo tamashai kya jaaniye kya gham tha mil kar bhi ye aalam tha be-khwab rahe wo bhi hum ko bhi na nind aai