ishq mein kuchh is tarah diwangi chhai ki bas

ishq mein kuchh is tarah diwangi chhai ki bas
kucha-e-arbab-e-dil se ye sada aai ki bas

jab qadam diwangi ki had se aage badh gae
dekhne walon ko mujh par wo hansi aai ki bas

bu-e-mushkin muskurai phul khushbu le ude
us sarapa-naz ki yun zulf lahrai ki bas

dekh kar wo bankpan wo husn wo rangin shabab
dil ki hasrat ne bhi aakhir li wo angdai ki bas

hum se kuchh bhi ho na pai ehtiyat-e-dilbari
apni kotahi pe aisi aankh sharmai ki bas

le ke saghar hath mein hum chal pade jab ai 'mubin'
mai-kade mein ek faza kuchh aisi lahrai ki bas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close