ishq mein la-jawab hain hum log mahtab aaftab hain hum log garche ahl-e-sharab hain hum log ye na samjho kharab hain hum log sham se aa gae jo pine par subh tak aaftab hain hum log hum ko dawa-e-ishq-bazi hai mustahiqq-e-azab hain hum log naz karti hai khana-virani aise khana-kharab hain hum log hum nahin jaante khizan kya hai kushtagan-e-shabab hain hum log tu hamara jawab hai tanha aur tera jawab hain hum log tu hai dariya-e-husn-o-mahbubi shakl-e-mauj-o-habab hain hum log go sarapa hijab hain phir bhi tere rukh ki naqab hain hum log khub hum jaante hain apni qadr tere na-kaamyab hain hum log hum se ghaflat na ho to phir kya ho rah-raw-e-mulk-e-khwab hain hum log jaanta bhi hai us ko tu waiz jis ke mast-o-kharab hain hum log hum pe nazil hua sahifa-e-ishq sahiban-e-kitab hain hum log har haqiqat se jo guzar jaen wo sadaqat-maab hain hum log jab mili aankh hosh kho baithe kitne hazir-jawab hain hum log hum se puchho 'jigar' ki sar-masti mahram-e-an-janab hain hum log