pas-e-marg-e-tamanna kaun dekhe mere naqsh-e-kaf-e-pa kaun dekhe koi dekhe meri aankhon mein aa kar magar dariya mein sahra kaun dekhe ab is dasht-e-talab mein kaun aae sarabon ka tamasha kaun dekhe agarche daman-e-dil hai darida darun-e-nakhl-e-taza kaun dekhe bahut marbut rahta hun main sab se meri be-rabt duniya kaun dekhe shumar-e-ashk-e-sham-e-bazm mumkin hamara dil pighalta kaun dekhe main kya dekhun ki tum aae ho milne khuli aankhon se sapna kaun dekhe main jaisa hun main waisa to nahin hun magar jaisa hun waisa kaun dekhe