jaan si aa gai hai jaan mein kya kah gae hain wo mere kan mein kya mujh se haal-e-dil-e-tabah na puchh ab hai ujde hue makan mein kya mera har zakhm kyon mahakta hai phul rakhte ho tum kaman mein kya puchhte hain mujhe dikha ke shafaq khun barsa hai aasman mein kya baat kahne se peshtar socho tir laut aaega kaman mein kya tera jalwa hai aur kuchh bhi nahin tu hi to hai bhare jahan mein kya be-wafa us ko ru-ba-ru kahiye pad gae qufl ab zaban mein kya pyar honton pe aur dil mein fareb kya zaban par hai aur guman mein kya 'ehtisham' ek lafz-e-gham ki jagah aur hai teri dastan mein kya