ishq mein ye hui haalat tere diwane ki ab na jine ki tamanna hai na mar jaane ki raqs mina ka kabhi shokhiyan paimane ki yaad aati hain fazaen tere maikhane ki kuchh is andaz se tartib diya hai main ne tum se tashrih na hogi mere afsane ki meri qismat hi mein likkhi thi tabahi ai dost hai shikayat mujhe apne ki na begane ki wo bhi bimar-e-mohabbat ka udate hain mazaq dekh kar jin ko tawaqqoa thi sambhal jaane ki kyun na tauqir karen aaj meri ahl-e-haram khak chhani hai bahut main ne sanam-khane ki hijr aalam khalish soz tadap dard-e-jigar surkhiyan hain ye mere ishq ke afsane ki