tabah kar ke har ek naqsh-e-jism-o-jaan hum ne bana diya hai mohabbat ko jawedan hum ne ghalat-rawi pe teri tabsira muhaal na tha tera lihaz kiya mir-e-karwan hum ne hamare dida-e-be-ab ko na tane do luta diya hai sitaron ka ek jahan hum ne hati hati se tawajjoh ye ahl-e-mahfil ki badal diya hai kahin rang-e-dastan hum ne sitam kiye hain bahut dil pe ye haqiqat hai ayan na kar ke wafur-e-gham-e-nihan hum ne na-jaane raaz-e-mohabbat ka hashr kya hoga bana liye hain kai apne raaz-dan hum ne nigah sirf tahayyur hawas warafta liya tha jazb-e-mohabbat ka imtihan hum ne na jaane kaun si aafat 'nasir' ho nazil agar chaman mein kiya zikr-e-ashiyan hum ne