ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae ye to ek sail-e-bala hai so guzar bhi jae talkhi-e-kaam-o-dahan kab se azab-e-jaan hai ab to ye zahr rag o pai mein utar bhi jae ab ke jis dasht-e-tamanna mein qadam rakkha hai dil to kya chiz hai imkan hai ki sar bhi jae hum bagulon ki tarah khak-basar phirte hain panw shal hon to ye aashob-e-safar bhi jae lut chuke ishq mein ek bar to phir ishq karo kis ko malum ki taqdir sanwar bhi jae shahr-e-jaanan se pare bhi kai duniyaen hain hai koi aisa musafir jo udhar bhi jae is qadar qurb ke baad aise juda ho jaana koi kam-hausla insan ho to mar bhi jae ek muddat se muqaddar hai gharib-ul-watani koi pardes mein na-khush ho to ghar bhi jae