jab kaha tir teri aankh ne akasr mara chitwanen pher ke bole ki barabar mara qadr kuchh bhi mere dil ki but-e-kafir ne na ki zulf-e-pechan se jo uljha to mere sar mara jaan be-maut khuda bhi nahin leta lekin tu ne be-maut hi logon ko sitamgar mara chand zarre meri mitti ke faqat hath aae dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar mara ek musalman ka dil tod diya kya kahna apne nazdik bada aap ne kafar mara 'muztar' aisa koi ab tak na ho aur na ho maut ne hae abas dagh-e-sukhnawar mara