ye faisla to bahut ghair-munsifana laga hamara sach bhi adalat ko baghiyana laga hamare khun se bhi us ki khushbuen phutin hamein to qatl bhi kar ke wo bewafa na laga lagai aag bhi is ehtimam se us ne hamara jalta hua ghar nigar-khana laga hum itna ruh ki gahraiyon ke aadi the ki dubta hua dil dubta hua na laga ye kham mal milega bahut hi kam damon lahu ho jis ki zarurat wo karkhana laga kisi bhi shakhs se jab us ki khairiyat puchhi to apna lahja-e-pursish bhi taziyana laga ye kaun log 'muzaffar' ki kar rahe the burai mile hain hum bhi bahut hum ko wo bura na laga