main ye nahin kahti ki mujhe yaad kiya kar chup-chap barasti hui barish ko suna kar dastak mere darwaze pe mat aise diya kar sau bar kaha hai ki hawa dhire chala kar kahta hai ye aaina mujhe nazren chura kar nam-dida mujhe dekh ke mat aise hansa kar ho jae na kuchh aur udasi mein izafa tu khud se meri man zara kam hi mila kar sargoshi na kar aise hawa kan mein mere tu lahje mein us ke na mera nam liya kar jari ho mere sine mein sanson ka tasalsul rakh hath mere thahre hue qalb pe aa kar phir dil mein tere nam ki padti hain dhamalen hoti hai meri ruh bhi khush khak uda kar ghunghat kabhi chehre se uthate hi nahin ho milte ho kahin sare hijabaat utha kar karta hai wo phir raqs sar-e-bazm musalsal rakh dete ho zi-hosh ko diwana bana kar suraj ko bujha dete ho tum sham se pahle aur dil se ye kahte ho ki din-raat jala kar lagta hai kabhi dur bahut dur ho mujh se lagta hai ki chhu lungi kabhi hath badha kar main chadar-e-tathir ka deti hun wasila rakh lena mere aibon ko duniya se chhupa kar auqat bhi mitti hai teri zat bhi mitti tu khak hai mat khak pe itra ke chala kar aaega bhala kaun tere pichhe ai pagal mat rahon mein 'jina' tu thithak kar yun ruka kar