ishq phir ishq hai aashufta-sari mange hai

ishq phir ishq hai aashufta-sari mange hai
hosh ke daur mein bhi jama-dari mange hai

hae aaghaz-e-mohabbat mein wo khwabon ke tilism
zindagi phir wahi aaina-gari mange hai

dil jalane pe bahut tanz na kar ai nadan
shab-e-gesu bhi jamal-e-sahari mange hai

main wo aasuda-e-jalwa hun ki teri khatir
har koi mujh se meri khush-nazari mange hai

teri mahki hui zulfon se ba-andaz-e-hasin
jaane kya chiz nasim-e-sahari mange hai

aap chahen to tasawwur bhi mujassam ho jae
zauq-e-azar to nai jalwagari mange hai

husn hi to nahin betab-e-numaish 'unwan'
ishq bhi aaj nai jalwagari mange hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close