koi ummid to is dil ki bar aane dije ranj ki baat na ab kijiye jaane dije un ke chup rahne se go jaan gai kya gham hai ji uthunga main abhi lab to hilane dije hum bhi kahte hain ki khat aaega tab samjhenge ghair gar un ko padhaye to padhane dije rafta-rafta ye pahunch jaega us ke dar tak kasa-e-sar ko mere thokaren khane dije ghair ka rang kisi tarah na jamne denge hum ko is bazm mein naqsha to jamane dije us sitamgar ki jafaon ka maza aata hai aasman hum ko satae to satane dije dekh kar abr-e-bahaari pe gulon ki chashmak chashm-e-gul-gun se hamein ashk bahane dije shab wo bole rukh-e-raushan se hata kar zulfen lo 'fida' subh hui ab hamein jaane dije