jab aadmi mudda-e-haq hai to kya kahen muddaa kahan hai khuda hai khud jis ke dil mein pinhan wo dhundhta hai khuda kahan hai ye bazm-e-yaran-e-khud-numa hai na kar khulus-e-wafa ki baaten sabhi to hain muddai wafa ke yahan koi bewafa kahan hai tamam partaw hain aks-e-partaw tamam jalwe hain aks-e-jalwa kahan se laun misal-e-surat ki aap sa dusra kahan hai nihan hain takmil-e-khud-shanasi mein jalwa-ha-e-khuda-shanasi jo apni hasti se be-khabar hai wo aap se aashna kahan hai padi hai sunsan dil ki wadi akela mahw-e-talash hun main ki ishq ke rah-rau kidhar hain wafaon ka qafila kahan hai jinhen wasael pe hai bharosa ye baat un ko bata de koi bacha le kashti ko jo bhanwar se khuda hai wo nakhuda kahan hai pada hi rahne do sar-ba-sajda na chhutne do ye aastana ki 'darshan'-e-khasta ka thikana tumhaare dar ke siwa kahan hai