ishq to sari umr ka ek pesha nikla hum ne kya socha tha yaro kya nikla dil ka patthar pighle to kya niklega patthar ka dil pighla to dariya nikla bhag raha hai dariya bhi sagar ki taraf pyas bujhane wala khud pyasa nikla subh sawere thi kirnon ki bazm saji sham ko ghar se tanha ek saya nikla itni umr mein apne mani kuchh na mile dil mein surat aankhon mein sapna nikla dil ke safar mein lahu ka dariya par kiya us ke aage sahra mein sahra nikla le ke faqiri aas lagai duniya se 'baqar' pyare tu bhi sag-e-duniya nikla