qafas ki tiliyon se le ke shakh-e-ashiyan tak hai meri duniya yahan se hai meri duniya wahan tak hai zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai khuda jaane hamare ishq ki duniya kahan tak hai khuda jaane kahan se jalwa-e-jaanan kahan tak hai wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai koi mar kar to dekhe imtihan-gah-e-mohabbat mein ki zer-e-khanjar-e-qatil hayat-e-jawedan tak hai niyaz-o-naz ki rudad-e-husn-o-ishq ka qissa ye jo kuchh bhi hai sab un ki hamari dastan tak hai qafas mein bhi wahi khwab-e-pareshan dekhta hun main ki jaise bijliyon ki rau falak se aashiyan tak hai khayal-e-yar ne to aate hi gum kar diya mujh ko yahi hai ibtida to intiha us ki kahan tak hai jawani aur phir un ki jawani ai maaz-allah mera dil kya tah-o-baala nizam-e-do-jahan tak hai hum itna bhi na samjhe aql khoi dil ganwa baithe ki husn-o-ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai wo sar aur ghair ke dar par jhuke tauba maaz-allah ki jis sar ki rasai tere sang-e-astan tak hai ye kis ki lash be-gor-o-kafan pamal hoti hai zamin jumbish mein hai barham nizam-e-asman tak hai jidhar dekho udhar bikhre hain tinke aashiyane ke meri barbaadiyon ka silsila ya-rab kahan tak hai na meri sakht-jaani phir na un ki tegh ka dam-kham main us ke imtihan tak hun wo mere imtihan tak hai zamin se aasman tak ek sannate ka aalam hai nahin malum mere dil ki virani kahan tak hai sitamgar tujh se ummid-e-karam hogi jinhen hogi hamein to dekhna ye tha ki tu zalim kahan tak hai nahin ahl-e-zamin par munhasir matam shahidon ka qaba-e-nil-gun pahne faza-e-asman tak hai suna hai sufiyon se hum ne akasr khanqahon mein ki ye rangin-bayani 'bedam'-e-rangin-bayan tak hai