sharik-e-gham koi kab mo'atabar nikalta hai siwae dal ke so wo be-khabar nikalta hai ye kaisa shahr hai kaisi hai sar-zamin us ki jahan ki khak palatta hun sar nikalta hai jidhar hain pyase udhar barishen hain tiron ki jidhar ghanim hai dariya udhar nikalta hai use khabar hai ki zulmat hai saf-ba-saf har-su ujala hath mein le kar sipar nikalta hai hafiz hathon ka saya hai saeban jaisa yaqin hota hai dil ko na dar nikalta hai ajib dhund hai dasht-e-safar pe chhai hui na khatm hota hai rasta na ghar nikalta hai 'mujibi' saunp di jis ko mata-e-jaan main ne usi ka qarz mere nam par nikalta hai