mujhe manzur kaghaz par nahin patthar pe likh dena hata kar mujh ko tum manzar se pas-manzar pe likh dena khabar mujh ko nahin main jism hun ya koi saya hun zara is ki wazahat dhup ki chadar pe likh dena usi ki did se mahrum jis ko dekhna chahun meri aankhon ko us ke khwab-gun paikar pe likh dena isi mitti ka ghamza hain maarif sab haqaeq sab jo tum chaho to is jumle ko lauh-e-zar pe likh dena bahut nazuk hain mere sarw qamat teghzan logo hazimat khurdgi meri saf-e-lashkar pe likh dena kabhi main bhi udanen bharne wala tha bahut unchi meri pahchan isi tute hue shahpar pe likh dena sarabon ke safar se tu nahin lauta 'faza' ab tak jo khat likhna to itni baat us ke ghar pe likh dena