mujhe zamin se mohabbat thi ja ke laut aaya falak ko ishq ki azmat dikha ke laut aaya charagh qabr-e-wafa par jala ke laut aaya main apne dil ko thikane laga ke laut aaya to sahn-e-asman sab bhar gaya sitaron se main khak chand ke munh par uda ke laut aaya amir-e-shahr mujhe taj dene wala tha main ninw us ke mahal ki hila ke lut aaya wo ek tir jo punji thi us ki aankhon ki use main apne jigar mein dhansa ke laut aaya bahaar aae na aae mere gulistan tak main dasht-o-sahra mein ghunche khila ke laut aaya main chahta tha wo jae to phir nahin aae magar wo phir nai baaten bana ke laut aaya bahut ghurur tha us ko buland hone par main aasman ke sar ko jhuka ke laut aaya subut meri mohabbat ka mangne walo lahu se dar-o-rasan ko saja ke laut aaya hawa ke panw bahut ladkhada rahe the 'nadim' bahakti sham ko lemu chata ke laut aaya