isi duniya mein duniyaen hamari bhi basi hain rawish se sidhiyan marmar ki pani mein gai hain mahal hai aur sulagta ud hai aur jhad-fanus lahu se mushk aaza se shuaen phutti hain tamanna ke jazire aasmanon mein bane hain mere chaaron taraf lahren isi jaanib uthi hain ye kaisi dhup aur pani mein afzaish hui hai bahishti tahniyan is odhni se jhankti hain hamara nam bhi bara-dari par naqsh karna ye sari jaliyan hum ne nigahon se buni hain