jahan-e-fikr mein misl-e-hawa chalta raha hun main liye gard-e-khirad chaaron disha chalta raha hun main suragh-e-agahi ko main koi manzil samajh baitha sarab-e-aql ki jaanib sada chalta raha hun main naward-e-kaenat-e-nau hun lekin ajnabi sa hun mashini daur se hat kar zara chalta raha hun main mujhe tabir ki khwahish thi ya shayad nahin bhi thi alam khwabon ka le kar ja-ba-ja chalta raha hun main agar main chhod deta dil kabhi ka bujh gaya hota jala kar tirgi mein ye diya chalta raha hun main thakan ne aa liya tha jism tab sochen tawana thin jahan mein ruk gaya tha ye khala chalta raha hun main bala ki gardishen thin soch mein jo chha gain mujh par bana ke zindagi ko daera chalta raha hun main abhi kitne marahil aur hain meri masafat ke mujhe kuchh to bata de ai khuda chalta raha hun main