tadap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki chhuri thi mere liye jo shikan thi bistar ki araq araq hain jo garmi se roz-e-mahshar ki panah dhundte hain mere daman-e-tar ki hua guman usi shokh-e-sust-paiman ka agar hawa se bhi zanjir hil gai dar ki isi taraf tere qurban nigah-e-sharm-alud mujhi pe tez ho ye badh kund khanjar ki khiram wo jo hila de jigar farishton ka nigah wo jo ulat de safon ko mahshar ki sajai hazrat-e-waiz ne kis takalluf se mata-e-zohd-o-wara sidhiyon pe mimbar ki ubur bahr-e-haqiqat se jab nahin mumkin kinare baith ke lahren ginun samundar ki sunega kaun suni jaegi 'safi' kis se tumhaari ram-kahani ye zindagi bhar ki