teri dosti ka kamal tha mujhe khauf tha na malal tha mera rom rom tha hairati mera dil bhi mahw-e-dhamal tha koi shakh-e-girya lipat gai mere sukhte hue jism se main khizan ki rut mein hara hua ye darud hi mein kamal tha abhi reg-e-dasht pe sabt hain sabhi naqsh mere sujud ke wo jo marke ka sabab hua wahi harf-e-haq meri dhaal tha meri rakh mein thin kahin kahin mere ek khwab ki kirchiyan mere jism-o-jaan mein chhupa hua teri qurbaton ka khayal tha inhi hairaton mein basar hui na khabar hui ki sahar hui ye tamam arsa-e-zindagi ki muhit-e-sham-e-visal tha