isi mamure mein kuchh aise hain saudai bhi jin ke kaam aa na saki teri masihai bhi shukr hai aap ko mere liye zahmat na hui lijiye kat gai meri shab-e-tanhai bhi badh saki jis se na angusht-ba-lab nadani usi manzil mein nazar aati hai danai bhi allah allah re giran-jaani-e-bimar-e-wafa na-tawani bhi hai hairan tawanai bhi wo bhi tinka na mila hath badhaya tha jidhar chhut gaya hath se daman-e-shakebai bhi hum yahin baithe rahe hasrat-e-pa-bos liye chum kar parda-e-dar baad-e-saba aai bhi shairi ek dil-e-marhum ka matam hi nahin chahiye is mein 'raza' fikr ki gahrai bhi