kaun si manzil hai jo be-khwab aankhon mein nahin ek suraj dhundhta hun jo ki sapnon mein nahin dekhta rahta hun mitte shahr ke naqsh-o-nigar aankh mein wo suraten bhi hain ki galiyon mein nahin mausamon ka rukh udhar ko hai hawaon ka idhar jangalon mein baat koi hai ki shahron mein nahin pili pili titliyan hain aur mahrumi ka raqs kaun sa wo zaiqa hoga ki phulon mein nahin yun to har jaanib khade hain ye qatar-andar-qatar ek thandak hai ki in pedon ke sayon mein nahin chand taron ki ziyaen kahkashaon ke hujum kaun sa wo aasman hai jo zaminon mein nahin