isi surat hum apna raaz-e-dil shayad nihan kar len zamane bhar ko apne aap se hum bad-guman kar len fareb-e-ishq ka mara hua gum-karda manzil hun sharik apna kahen mujh ko na ahl-e-karwan kar len tamasha hi agar maqsud hai us husn-paikar ka to apna dil to is qabil zara ahl-e-jahan kar len haram ka shaikh ko aur barhaman ko dair ka dawa tumhaari kis jagah takhsis ai jaan-e-jahan kar len agar ahl-e-haram chahen khuda ko mehrban karna to mai-khane mein aakar baiat-e-pir-e-mughan kar len wahan pahunchaun le ja kar jahan manzil hi manzil ho jo ahl-e-karwan mujh ko hi mir-e-karwan kar len udhar mauj-e-tabassum aur idhar angdaiyan un ki batao 'arzu' ab sabr ka kaise guman kar len