kuchh muqaddar hi bura hai bulbul-e-nashad ka dar kabhi bijli ka rahta hai kabhi sayyaad ka gham nahin dil ho gaya barbaad mujh barbaad ka mashghala jata raha zalim teri bedad ka haal to dekhe koi mujh khanaman-barbaad ka main nasheman ko bhi ghar samjha kiya sayyaad ka ab wahi main hun ki apni bhi khabar rakhta nahin aur kabhi mamnun rahta tha kisi ki yaad ka ai khuda-e-ishq mujh ko aisi wahshat kar ata bhul jaen waqia ahl-e-jahan farhad ka kyon karam-amez nazron se mujhe takte ho tum imtihan madd-e-nazar hai kya dil-e-barbaad ka kya ajab hai 'arzu' bhi jaan ab de de agar aasra ab tak to tha is ko tumhaari yaad ka