zamane bhar se kya apne se begana banati hai mohabbat wo buri shai hai ki diwana banati hai haqiqat thi patange ki magar ek be-haqiqat thi yahi lau hai jo parwane ko parwana banati hai inayat ho jo saqi ki to dil kuza nahin rahta sama jata hai khum jis mein wo paimana banati hai wo chhup ke rah nahin sakte kisi goshe mein bhi dil ke farawani-e-jalwa aaina-khana banati hai main khum ke khum bhi pi jaun to laghzish ho nahin sakti magar masti teri aankhon ki mastana banati hai nigah-e-fitna-saman bhi nigah-e-multafit nikli basa kar dil ki basti khud hi virana banati hai do harf-e-gham ke qisse ko ek aah-e-na-tawan khinch kar na pura hashr tak ho aisa afsana banati hai nikalna panw ka chadar se hai saman-e-ruswai hawas badh jati hai had se to diwana banati hai asas-e-zindagi 'nawwab' hai ummid farda ki yahi dil ke kharabe ko pari-khana banati hai