kab ishq mein yaron ki pazirai hui hai har kohkan o qais ki ruswai hui hai is koh ko main ne hi tarasha hai meri jaan tujh tak ye ju-e-shir meri lai hui hai is shahr mein kya chand chamakta hua dekhen is shahr mein har shakl to gahnai hui hai wo ishq ki zanjir jo kate nahin katti pairon mein wo teri hi to pahnai hui hai ye takht-e-saba khilat-e-gul kursi-e-mahtab sab tere liye anjuman-arai hui hai jo tere khazane ke liye lauh-e-sharaf hai wo mohr-e-jawahar meri thukrai hui hai shohra hai bahut jis ki tilawat ka chaman mein wo aayat-e-gul meri hi padhwai hui hai thi jo na kisi shana-e-yusuf ki talabgar wo zulf-e-zulekha meri saudai hui hai dekha hai kisi aahu-e-khush-chashm ko us ne aankhon mein bahut us ki chamak aai hui hai