pahadon se utarti sham ki bechaargi dekhen darakhton par laraz kar bujh rahi hain aakhiri kirnen bahut hi sard hai ab ke dayar-e-shauq ka mausam chalo guzre dinon ki rakh mein chingariyan dhunden bhala patthar bhi rote hain kabhi shishe ke zakhmon par agar hota hai aisa to hisab-e-dostan bhulen sawad-e-sham mein dhunden koi manus sa chehra hawa ki rahguzar pe ek nanha sa diya rakkhen kahan alfaz dete hain hamara sath ab 'fikri' kahe ashaar sab be-jaan huin bekar sab ghazlen