is ne dekha hai sar-e-bazm sitamgar ki tarah phul phenka bhi meri samt to patthar ki tarah us ke lab ko mere lab rah gae chhute chhute main bhi nakaam chala aaya sikandar ki tarah rang suraj ka sar-e-sham hua jata hai zard us ka bhi ghar na ho viran mere ghar ki tarah dard us ahd ki miras hai darna kaisa dard ko odh liya karte hain chadar ki tarah log har lamha badalte hain nazariye apne zehn-e-insan bhi tawaif ke hai bistar ki tarah ab ki yurish mein kahin gir hi na jae ye fasil shor rahta hai mere dil mein samundar ki tarah kaisa is ahd mein paiman-e-wafa log ab to dost har sal badalte hain calender ki tarah lafz aate hi mere lab pe laraz jate hain haal-e-dil sunte hain ab wo kisi afsar ki tarah wahi pabandi-e-auqat wahi mamulat zindagi ghar mein basar hoti hai daftar ki tarah ho gaya khak-nashin par ye jhukae na jhuka kisi sar mein bhi na sauda ho mere sar ki tarah 'anjum' is ahd mein tute hue dil ke rishte jodne par bhi hain udhde hue collar ki tarah