fasil-e-jism pe shab-khun shararten teri zara si bhi nahin badli hain aadaten teri ye zakhm zakhm badan aur lahu lahu ye khwab kitab-e-jism pe utri hain aayaten teri hisar-e-atish-e-namrud mein ghira hun main ab itni sust qadam kyun hain rahmaten teri charag chand shafaq sham phul jhil saba churain sab ne hi kuchh kuchh shabahaten teri ye mauj mauj lahu mein tere badan ka nasha talash karta hai har lamha qurbaten teri ai rashk-e-sarw-o-sanobar-qadan khiram-e-naz ki rah dekh rahi hain qayamaten teri meri hawas ke samundar mein madd-o-jazr nahin pe-zawal na hon chand-chahaten teri ukhadne wali thi jis dam tanab sanson ki dar aain khema-e-dil mein bashaaraten teri ise sambhaal, hua ja raha hai zer-o-zabar ki dil pe lai hui sab hain aafaten teri ada hua na kabhi mujh se ek sajda-e-shukr main kis zaban se karunga shikayaten teri wo aankhon aankhon mein raaton ka katna tera wo baaton baaton mein 'anjum' ibaadaten teri