itna batla mujhe harjai hun main yar ki tu main har ek shakhs se rakhta hun sarokar ki tu kam-sabaati meri har dam hai mukhatib ba-habab dekhen to pahle hum us bahr se hon par ki tu na-tawani meri gulshan mein ye hi bahse hai dekhen ai nikhat-e-gul hum hain subuk-bar ki tu dosti kar ke jo dushman hua tu 'jurat' ka bewafa wo hai phir ai shokh sitamgar ki tu